Yahi boli thi par ab ek he ya do yuddh k baad pata chalega , yuddh to hona hi he aaj
Ham BHI dekhe do he ya ek
Satya aur jhooth ki ladai to roj dekhte he aaj ladai hogi ek bichar ki tab to Maza aayega dekhne me wo BHI free ticket ka
Aaj ham nai chorenge dono ko boldo ladwa k rahenge
@ rockzz,criss cross aur krishti ...Maaf kijiyega ek Call mein busy hogya tha work se related.
Par Dekhne Ke Liye Toh Drishti Chahiye
Par dekhne ke liye toh drishti chahiye, pehle wo drishti leke aayeye jo hume dekh sake.
Kya krishti mein wo drishti hai jo hume dekh sake? Aur agar krishti mein wo drishti hoti, toh hume debate ke liye approach nahi karti.
Meri drishti mein, life mein ladai aur comparison ki koi jagah hi nahi hai, kyunki comparison sundarta ko khatam kar deta hai. Waise bhi, mein is duniya ko "Ek kala = Ek art" jaisa dekhta hoon... Aur "Kala = art" mein actors hote hain, jo apni-apni bhumika nibhaate hain aur har ek actor apne field mein talented hai ab hum unhe kaise dekhte woh humare drishti pei depend karta hai.
"Kala = art" ka matlab hai jo cheez jahan belong karti hai, us cheez ko wahan put karna bina apne individual conclusions draw kiye.
Art means putting everything in its place without drawing individual conclusions.
For example: Jaise ki shoe ki jagah feet mein hoti hai, jab hum usko feet mein rakhenge toh wo sundar dikhega. Agar hum usko head mein rakhenge toh wo asundar dikhega aur shoe apni sundarta khodega aur head ganda hojayega.