Main kabhi bahut expressive tha… har baat bol dene wala, har jazba likh dene wala.
Phir pata nahi kya hua, dil andar hi andar sab kuch dabaane laga.
@Ananya1235 meri zindagi ka pehla paighaam thi. Pehli baar kisi ke aankhon mein apne liye kuch dekha tha... par waqt ne hum dono ke beech sirf “agar” chhod diya.
@LionBeast aur @Shajfurious – dono mere wahi dost the jo hamesha kehte the,
"Bhai, keh de... warna baad mein regret karega."
Main hamesha muskurake kehta,
"Mujhe likhne do... bolna mere bas ka nahi."
Phir ek din… usne kisi aur ke haathon mein apna haath de diya.
Main chhupchaap reh gaya… uss din meri aankhon ne ro kar likhna bhi chhod diya.
Lion_Hearted ne mujhe sametne ki koshish ki… usne mera dard samjha, par kabhi kuch bola nahi. Shayad kyunki uske apne jazbaat bhi kahin kisi diary mein dabae hue the.
@Shez4u4ever ne bas ek baat kahi –
"Tujhe na, sirf ek baar usse keh dena chahiye tha… chahe jo bhi hota, tu khud se toh na haarta."
Aur @Skipper09 , uska jawaab sabse simple tha –
"Unsent messages sabse zyada shor machate hain… bas duniya nahi sun pati."
Aaj bhi mere phone mein woh paighaam pada hai...
"Main tumse kuch kehna chahta hoon..."
...lekin maine kabhi 'send' dabaya hi nahi.
Kya aplogo bhi kabhi koi paighaam likha ho, jo kabhi bheja hi nahi?
Batana… Shayad hum sab ka dard kahin na kahin ek jaisa hi hai.