Woh chaand se bhi khoobsurat hai,
Magar chaand ka noor toh sirf dur se mehsoos hota hai....
Aur uska chehra…...ek aisa afsana,
Jise ek baar dekh lo toh aankhe kahi aur jaane se inkaar kar de...
Uski ghani daadhi jaise
kali raat me chhupi chandni,
Jo chehre ka har naqsh ko aur bhi
roshan kar deti hai.....
Uska Gora rang jaise subah ki pehli roshni,
Jo nazar padte hi dil ko
ek ajeeb sukoon de de....
Aur uski woh chhoti aankhe…
Jaise gehre samundar ki anjaan lehre,
Jisme mohabbat bhi
doobne ko betaab rahe...
Par jo baat sabse haseen hai,
Woh yeh ki Jaise hawaa bhi chhu le mujhe,
toh usey manzoor nahi....
Jaise har lafz jo mujhe chhuta hai,
Woh pehle uske dil ke darwaze
se guzarta hai....
Woh sirf ek shaqs nahi,
ek mehka hua khwab hai....
Woh wohi dua hai jo qubool hone ke baad bhi sajde me girrne ka dil kare....
Jise dekh kar lagta hai,
khuda ne uss din sirf husn likha hoga...