Ho aisa kabhi ki chaand na nikle, Toh mere liye tum wo chamakti chandani ban jaana...!!
Agar kabhi neend aane se karde mana, Toh meri palke tum pyaar se bandh kar jaana...!!
Jab bhi kabhi meri harkatein tumhe naraaj karde, Toh haskar tum unhe nazarandaaz kar jaana...!!
Kabhi banu main nasamajh kahin, Toh ban samajhdaar tum mujhe samjhaana...!!
Mulaqaate agar na ho sake baar-baar, Toh apna ehsaas in hawaaon ke sahare mujh tak pahuchana..!!
Aur Duriyo ki dor kitni bhi lambi ho jaaye, Tab bhi bhulkar mujhe tum kahin door mat jaana...!!
Ye kuch guzarishe tumse...
Ek behtar zindagi ki khwahish tumse..!!