>Ek shayri likhi hai
Kabhi milogi to sunaunga
Teri seerat saaf shishe ki tarah
Mere daaman me daag hazaaron hain
Tu nayaab kisi paththar ki tarah
Mera uthhna bethhna bazaaron me hai
Teri mojoodgi ka ehteraam kar bhi lun
Jab hoga roobaruh to ye zazbaat kahan chupaunga
Ek umr leke aana
Main khali kitaaben le aaunga
Tod kar laane ke waade nahi
Main apni kalam se sitaare sajaunga
Meri sabr ki intehaa par shak kaisa
Mene tere aane jaane pe ta umr likhi hai
Zameen pe koi khaas nahi mera
Tu ek baar qubool kar me apne gawahon ko aasmaa se bulwaunga
Ek shayri likhi hai
Kabhi milogi to sunaunga
Kabhi milogi to sunaunga
Teri seerat saaf shishe ki tarah
Mere daaman me daag hazaaron hain
Tu nayaab kisi paththar ki tarah
Mera uthhna bethhna bazaaron me hai
Teri mojoodgi ka ehteraam kar bhi lun
Jab hoga roobaruh to ye zazbaat kahan chupaunga
Ek umr leke aana
Main khali kitaaben le aaunga
Tod kar laane ke waade nahi
Main apni kalam se sitaare sajaunga
Meri sabr ki intehaa par shak kaisa
Mene tere aane jaane pe ta umr likhi hai
Zameen pe koi khaas nahi mera
Tu ek baar qubool kar me apne gawahon ko aasmaa se bulwaunga
Ek shayri likhi hai
Kabhi milogi to sunaunga