Mai tere gham ko chhupana sikh gayi hu,
Apne dard ko hasrat banaana
sikh gayi hu...
Meri aankho me jo
aansuo ka samundar tha,
Ab usse bhi khamoshi se
bahaa dena sikh gayi hu...
Teri yaado ka shor abb bhi
bechain karta hai,
Magar mai khud ko be-sadaa
banana sikh gayi hu...
Tere bina jeene ka hunar toh nahi aaya,
Par khud ko har pal
samjhaana sikh gayi hu...
Dard ka har ek rang
mehsoos kiya hai mene,
Mohabbat ki baarish me bheeg chuki hu...
Ab chhupa liya hai maine
khud ko is andhero me,
Jisme tere hone ka ek bhi noor na ho...
Ek din shayad hum fir se mil bhi jaaye,
Magar tab mohabbat ka haq na ho...
Mai sirf ek ajnabi banke muskura dungi,
Aur tere bina jeene ka hunar
seekh chuki hongi...
Mujhe bas ab ek faasla chahiye,
Jisme na koi lafz ho, na koi dastaan ho...
Mai tumhe umar bhar duaaye dungi,
"Bas tum mere zehen se utar jaao"

Apne dard ko hasrat banaana
sikh gayi hu...
Meri aankho me jo
aansuo ka samundar tha,
Ab usse bhi khamoshi se
bahaa dena sikh gayi hu...
Teri yaado ka shor abb bhi
bechain karta hai,
Magar mai khud ko be-sadaa
banana sikh gayi hu...
Tere bina jeene ka hunar toh nahi aaya,
Par khud ko har pal
samjhaana sikh gayi hu...
Dard ka har ek rang
mehsoos kiya hai mene,
Mohabbat ki baarish me bheeg chuki hu...
Ab chhupa liya hai maine
khud ko is andhero me,
Jisme tere hone ka ek bhi noor na ho...
Ek din shayad hum fir se mil bhi jaaye,
Magar tab mohabbat ka haq na ho...
Mai sirf ek ajnabi banke muskura dungi,
Aur tere bina jeene ka hunar
seekh chuki hongi...
Mujhe bas ab ek faasla chahiye,
Jisme na koi lafz ho, na koi dastaan ho...
Mai tumhe umar bhar duaaye dungi,
"Bas tum mere zehen se utar jaao"
