Khushi bhi yahi, gila bhi yahi...
Woh humko mila toh sahi, par mila nahi...
Naazuk si thi mohabbat,
par usne sambhala nahi,
Mai bikharne ko tayyar thi,
magar usne thaama nahi…
Har dafa toot kar uski chaah me bikhri,
Magar woh ek dafaa bhi
mujhe apna keh na saka…
Aankho ke dariya me roshni ka noor tha,
Magar uski judayi ne
sirf andhera ataa kiya…
Mohabbat ki chadar me
silwate hi silwate mili,
Woh jo mera tha,
bas lafzo me tha, haqeeqat me nahi…
Harf-harf likha tha
mene uska naam rukhsaar par,
Magar kismat ki baarish ne
sab dhoke se mita diya…
Mai katra-katra tapakti rahi
intezaar ki raato me,
Aur woh kisi aur ke humsafar
ki manzil ban gaya…
Abb sirf ek khaali saya hu,
na mohabbat, na shikayat…
Bas ek kahani jo adhuri reh gayi,
ek daastaan jo muqammal na hui~

Woh humko mila toh sahi, par mila nahi...
Naazuk si thi mohabbat,
par usne sambhala nahi,
Mai bikharne ko tayyar thi,
magar usne thaama nahi…
Har dafa toot kar uski chaah me bikhri,
Magar woh ek dafaa bhi
mujhe apna keh na saka…
Aankho ke dariya me roshni ka noor tha,
Magar uski judayi ne
sirf andhera ataa kiya…
Mohabbat ki chadar me
silwate hi silwate mili,
Woh jo mera tha,
bas lafzo me tha, haqeeqat me nahi…
Harf-harf likha tha
mene uska naam rukhsaar par,
Magar kismat ki baarish ne
sab dhoke se mita diya…

Mai katra-katra tapakti rahi
intezaar ki raato me,
Aur woh kisi aur ke humsafar
ki manzil ban gaya…
Abb sirf ek khaali saya hu,
na mohabbat, na shikayat…
Bas ek kahani jo adhuri reh gayi,
ek daastaan jo muqammal na hui~
