Mareez-e-mohabbat unhi ka fasana sunata raha dum nikaltey nikaltey
magar zikr-e-shaam-e-alum jab ke aaya, chiragh-e-sehar bujh gaya jaltey jaltey
irada tha tark-e-mohabbat ka laikin, fariab-e-tabassum maiN phir aa gaey hum
abhi kha ke Thokar sanbhalney na paey, ke phir Thokar sanbhaltey sanbhaltey
unhain Khat maiN likha ke dil muztarib hai, jawab onka aaya mohabbat na kartey
tumhain dil laganey ko kis nay kaha tha, behal jaey ga dil beheltey beheltey
aray koi vadaa Khilafi ki hud hai, hisab apney dil maiN laga kar to dekho
qayamat ka din aa agaya rafta rafta, mulaqaat ka din badaltey badaltey
humaiN apney dil ki to parwa nahi hai, magar dar raha hoon yeh kam_sin ki zid hai
kaheeN paa-e-nazuk maiN mooch aa na jaey, dil-e-sakht jaaN ko masaltey masaltey
wo mehmaa.n rahe bhi to kab tak hamaare, hui shamma gul aur na duube sitaare,
"Qamar" is qadar unko jaldi thee ghar kii, wo ghar chal diye chaandni dhalte dhalte.