Zulfe meri, tere chehre ko sehlati hai
Toh kismat meri, haule se kuch gun-gunati hai!
Jo chhup na sake, wo baat ho
Hain sab jante jo, wo raaz ho
Pyaasi hun main, tum baarish ki wo barsaat ho...
Jo main raat hun, toh tu Khwab ho
Jo main khaali panna, tu alfaaz ho
Main khoyi musafir toh tu chaanv ho
Ye pehli mohabbat ka ehsaas ho…
Bina kuch kahe Jo tu Nazron se sab keh jata hai
Toh fursat meri, Khwab tere dikhlati hai...
Tere paas main, mere paas tu
Akeli hoon to bhi, tere sath hun
Main Chandani raat, hai toota taara tu…
Main Yahan tu kahan, Kaisi yeh tanhaiyan,
Dhoond lun main tujhe, Ishara tu karde zara
Jo Ruthe bhi toh, na jana kahin,
Main Teri thi kal, main teri hun abhi..
Jo main raat hun, toh tu Khwab hai,
Jo main khaali panna, tu alfaaz hai,
Ye pehli mohabbat ka ehsaas hai!