Dono jahan teri mohabbat mein haar ke,
Woh jaa raha hai koi shab-e-gham guzaar ke.
Veeran hai may-kada, khum-o-saagar udaas hain,
Tum kya gaye ke rooth gaye din bahaar ke.
Ik fursat-e-gunah mili woh bhi chaar din,
Dekhe hain hum ne hausle Parvardigaar ke.
Duniya ne teri yaad se begaana kar diya,
Tujh se bhi dil-fareb hain gham rozgaar ke.
Bhoole se muskura to diye the woh aaj 'Miya',
Mat pooch valvalay dil-e-na-karda-kaar ke.