Shadeed raha itna intezar mujhe,
Ki waqt minnat karta raha guzaar mujhe..
Chali mai ruth kar, sada na di usne,
Mai dil me cheekh ke kehti rahi
pukaar mujhe..
Sitam ki shiddat bhi sharminda ho gayi,
Jab teri be-rukhi meri taqdeer ban gayi..
Mai girti rahi yaado ke mazaar par,
Aur tu dekhta raha ek manzar
be-taalluq mujhe...
Mohabbat ka har harf adhura lagne laga,
Jisme tera naam tha,
woh dastaan jalne laga...
Woh jo kasam thi ki saath chalenge humsafar banke,
Aaj wahi kasam kar gayi be-asar mujhe..
Mitti ki tarah bikhar gayi meri ulfat,
Har saans me ghul gayi teri hijrat...
Aey bewafa, tere bin abb sirf
ek tamanna hai,
Ki maut aake likh de
intezar ka akhri shumar mujhe~
Ki waqt minnat karta raha guzaar mujhe..
Chali mai ruth kar, sada na di usne,
Mai dil me cheekh ke kehti rahi
pukaar mujhe..
Sitam ki shiddat bhi sharminda ho gayi,
Jab teri be-rukhi meri taqdeer ban gayi..
Mai girti rahi yaado ke mazaar par,
Aur tu dekhta raha ek manzar
be-taalluq mujhe...

Mohabbat ka har harf adhura lagne laga,
Jisme tera naam tha,
woh dastaan jalne laga...
Woh jo kasam thi ki saath chalenge humsafar banke,
Aaj wahi kasam kar gayi be-asar mujhe..
Mitti ki tarah bikhar gayi meri ulfat,
Har saans me ghul gayi teri hijrat...
Aey bewafa, tere bin abb sirf
ek tamanna hai,
Ki maut aake likh de
intezar ka akhri shumar mujhe~

