Tujhe ashko pe chhupaya hai,
Tujhe palko pe bethana abhi baaki hai...
Kisi aayat ki tarha aey jaan-e-jahaan,
Tujhe aankho se lagana abhi baaki hai..
Tere naam se, tere zikr se
taras uthta hai yeh wajood..
Har saans mein tera ehsas utarna abhi baaki hai...
Ishq ki mehfil mein
tera naam sajana abhi baaki hai...
Tere hone se jo roshni aayegi,
uss ujale mein kho jaana abhi baaki hai...
Jo arzoo banke dil mein basa hai,
usko haqeeqat mein laana abhi baaki hai...
Tere bina jo adhuri hu,
uss khud ko pura karna abhi baaki hai...
Teri rusvaayi ke darr se jo lab khaamosh hai,
unhe sirf tera naam pukaarna abhi baaki hai...
Jo mohabbat rooh tak basi hai,
usme fanaah ho jaana abhi baaki hai...