Ek raat ek baat likhungi,
Khud ko daag, tujhe saaf likhungi…
Haqeeqat me tu kabhi milega nahi,
Ek kitab me apni mulaqat likhungi…
Woh lafz jo kabhi keh nahi saki,
Aaj unko khamosh alfaaz likhungi…
Jo dukh diya tune muskurahat me,
Usko bhi ek nayi shakal likhungi…
Meri tanhaiyon ka tu gawaah rahega,
Teri yaadon ko chandni raat likhungi…
Jo khwab adhure rahe the kabhi,
Aaj unko pura ek jazbaat likhungi
Meri mohabbat sirf meri thi,
Is dard ko bhi meri saugaat likhungi…
Khud ko mita kar bhi jo tujhme basi thi,
Us chahat ko ek roohani baat likhungi…
Agar kahi likhi hai kismat me duriya,
Toh taqdeer ka bhi ek sawaal likhungi
Mai haar jaau ya jeet jaau
iss mohabbat me,
Har mod pe tujhe be-hisaab likhungi~

Khud ko daag, tujhe saaf likhungi…
Haqeeqat me tu kabhi milega nahi,
Ek kitab me apni mulaqat likhungi…
Woh lafz jo kabhi keh nahi saki,
Aaj unko khamosh alfaaz likhungi…
Jo dukh diya tune muskurahat me,
Usko bhi ek nayi shakal likhungi…
Meri tanhaiyon ka tu gawaah rahega,
Teri yaadon ko chandni raat likhungi…
Jo khwab adhure rahe the kabhi,
Aaj unko pura ek jazbaat likhungi

Meri mohabbat sirf meri thi,
Is dard ko bhi meri saugaat likhungi…
Khud ko mita kar bhi jo tujhme basi thi,
Us chahat ko ek roohani baat likhungi…
Agar kahi likhi hai kismat me duriya,
Toh taqdeer ka bhi ek sawaal likhungi

Mai haar jaau ya jeet jaau
iss mohabbat me,
Har mod pe tujhe be-hisaab likhungi~
