Main ek ciggy hu. Packet me bharke bazar me bikne ata hu. Sarkar ne packet ke upar maut ki barta de rakkhi hay. Phir bhi mujhe bazar me veja jata hay. Log paisa deke mujhe kharidte hay. Mere sharir ke 4/5th angsh tambaku se bhara rehta hay aur 1/5th me filter rehte hay. Log tambaku me aag lagake use pite hay. Filter jhuta tasalli dete hay ke zehar sharir me kam ja rhi hay. Filter ko honton pe lagake mujhe jalaya jata hay. Mujhe jalake rakh banakar fekta jata hay. Jab tambaku khatam ho jata hay, filter ko fek dete hay. Thodi der pehle main kisiki honton pe shan se raaz kar rhe the ab mera jagah hua, kahin ashtray me, kahin road pe, kahin kachde ke dabbe me, commode me, rail line ke bagal me.
Jabtak jinda ho shan aur ijjat tab tak rehte hay, jal jane ke baad kuch nhi rehta hay.
Jabtak jinda ho shan aur ijjat tab tak rehte hay, jal jane ke baad kuch nhi rehta hay.