Ek barhaman ne kaha hai ki ye sal achchha hai
zulm kī raat bahut jald Talegī ab toaag chūlhoñ meñ har ik roz jalegī ab to
bhuuk ke maare koī bachcha nahīñ ro.egā
chain kī niiñd har ek shaḳhs yahāñ so.egā
āñdhī nafrat kī chalegī na kahīñ ab ke baras
pyaar kī fasl ugā.egī zamīñ ab ke baras
hai yaqīñ ab na koī shor-sharāba hogā
zulm hogā na kahīñ ḳhūn-ḳharābā hogā
os aur dhuup ke sadme na sahegā koī
ab mire desh meñ beghar na rahegā koī
na.e va.adoñ kā jo Daalā hai vo jaal achchhā hai
rahnumāoñ ne kahā hai ki ye saal achchhā hai
dil ke ḳhush rakhne ko ġhālib ye ḳhayāl achchhā hai