• We kindly request chatzozo forum members to follow forum rules to avoid getting a temporary suspension. Do not use non-English languages in the International Sex Chat Discussion section. This section is mainly created for everyone who uses English as their communication language.

BOJH HOGYI HAI MERI MOHABBAT TUJHPE❣️

Qaynaat

Shayri Queen of zozo(⁠◍⁠•⁠ᴗ⁠•⁠◍⁠)⁠❤
VIP
Senior's
Posting Freak
Kitne hue sitam tujhpe,
Meri mohabbat me kya kya nahi saaha tune..
Mai manhusiyat ki parchaayi hu,
Kya khoob kaha tune...
Mai kabhi woh darakht thi tere liye,
Jiski chhaav me beth kar tune dukh,
Woh dhoop se khudko bachaya hai...
Mai woh waahid apni thi Teri,
Jisne tujhe tere bure waqt pe apnaya tha...
Aur phir bhi,
Tere bepanah khamoshiyo ko har baar mohabbat samajhti rahi,
Apni har tooti hui khwahish ko teri chahat kehkar jeeti rahi❣️
Tere door jaane ki aahat bhi mehsoos hoti thi,
Magar khud ko samjha leti thi—
Apne dil ko roz behlaati thi,
Tujhme zinda rehkar khud se door ho chuki thi...
Aur aaj yeh fikr ho rahi hai aziyat tujhpe,
Jaanti hu__
Bojh ho gyi hai meri mohabbat tujhpe~
1000199315.jpg
 
Jaanti ho…
Tumne meri zindagi ke andheron mein roshni ban kar kadam rakha tha,
Main toh khud se bhi haar chuka tha,
Magar tumne mujhe har baar jeetne ka hausla diya tha…

Tum darakht thi —
Aur main sirf ek thaka hua musafir,
Jisne kabhi socha hi nahi,
Ki chhaav bhi kabhi barish maangti hai…

Tumne meri khamoshiyon ko pyaar samjha,
Aur main... unn khamoshiyon mein sirf dard chhupa raha.
Tumne har tooti khwahish ko chahat kaha,
Aur main un lamhon ko bhi mohabbat keh kar chhup gaya...
Tumne mujhe apnaya jab duniya chhod chuki thi,
Aur maine tumhe khud se door kar diya,
Sirf is dar se ke kahin tum bhi chali na jao…

Jaanti ho,
Main tumse door gaya nahi tha,
Main toh tumhari mohabbat mein khud se bhi gum ho gaya tha…

Aaj bhi tumhari fikr hai,
Tumhara dard… meri khushi se bada lagta hai…
Bas ek baar keh do—
Ki tum theek ho,
Phir chahe main kabhi theek na ho paun...
 
Kitne hue sitam tujhpe,
Meri mohabbat me kya kya nahi saaha tune..
Mai manhusiyat ki parchaayi hu,
Kya khoob kaha tune...
Mai kabhi woh darakht thi tere liye,
Jiski chhaav me beth kar tune dukh,
Woh dhoop se khudko bachaya hai...
Mai woh waahid apni thi Teri,
Jisne tujhe tere bure waqt pe apnaya tha...
Aur phir bhi,
Tere bepanah khamoshiyo ko har baar mohabbat samajhti rahi,
Apni har tooti hui khwahish ko teri chahat kehkar jeeti rahi❣️
Tere door jaane ki aahat bhi mehsoos hoti thi,
Magar khud ko samjha leti thi—
Apne dil ko roz behlaati thi,
Tujhme zinda rehkar khud se door ho chuki thi...
Aur aaj yeh fikr ho rahi hai aziyat tujhpe,
Jaanti hu__
Bojh ho gyi hai meri mohabbat tujhpe~
View attachment 318116
Ek bepanah mohabbat bhi jo har zakhm ke baad bhi sirf usi ka sochti rahi. Ye alfaaz sirf lafz nahi, toote hue dil ki cheekh hain—lekin kitni khamoshi se, kitni shiddat se bayaan kiye hai tune.
Magar yaad rakhna, jo mohabbat sacchi hoti hai, woh kabhi bojh nahi hoti... shayad woh insaan us mohabbat ke laayak nahi tha, ya usne kabhi mohabbat ki gehraayi samajhi hi nahi.:cool:


1745298177793.png
 
Kitne hue sitam tujhpe,
Meri mohabbat me kya kya nahi saaha tune..
Mai manhusiyat ki parchaayi hu,
Kya khoob kaha tune...
Mai kabhi woh darakht thi tere liye,
Jiski chhaav me beth kar tune dukh,
Woh dhoop se khudko bachaya hai...
Mai woh waahid apni thi Teri,
Jisne tujhe tere bure waqt pe apnaya tha...
Aur phir bhi,
Tere bepanah khamoshiyo ko har baar mohabbat samajhti rahi,
Apni har tooti hui khwahish ko teri chahat kehkar jeeti rahi❣️
Tere door jaane ki aahat bhi mehsoos hoti thi,
Magar khud ko samjha leti thi—
Apne dil ko roz behlaati thi,
Tujhme zinda rehkar khud se door ho chuki thi...
Aur aaj yeh fikr ho rahi hai aziyat tujhpe,
Jaanti hu__
Bojh ho gyi hai meri mohabbat tujhpe~
View attachment 318116
मेरी मोहब्बत तुझपे बोझ हो गई है,
शायद अब ये रूह भी फ़िज़ूल हो गई है।
कभी जो चाहा था जान से ज़्यादा तुम्हें,
अब वो चाहत भी एक कसूर हो गई है।
*A_AICS
 
Top