Ranjish hi sahi, dil hi dukhane ke liye aa,
Aa phir se mujhe chhod ke jaane ke liye aa.
Kuch to mere pindaar-e-mohabbat ka bharam rakh,
Tu bhi to kabhi mujhko manane ke liye aa.
Pehle se marasim na sahi, phir bhi kabhi to,
Rasm-o-rah-e-duniya hi nibhaane ke liye aa.
Kis kis ko batayenge judaai ka sabab hum,
Tu mujh se khafa hai to zamaane ke liye aa.
Ik umr se hoon lazzat-e-girya se bhi mehroom,
Ae raahat-e-jaan mujhko rulaane ke liye aa.
Ab tak dil-e-khush-feham ko tujh se hain umeedein,
Ye aakhri shamain bhi bujhaane ke liye aa.