Suno kuchh kehna hai tumse, sun paoge kya?
Waqt hai tumhare pass, de paoge kya?
Baat thodi gehri hai, samajh paoge kya?
Baatein din mein tumse zyada hone lagi hai,
Meri raatein bhi sambhaal paoge kya?
Hasta toh main bahut hoon, mujhe khush bhi rakh paoge kya?
Mujhe darr lagta hai iss matlabi duniya ke logon se,
Tum mujhse bina matlab ke matlab rakh kar, mera ye darr mita paoge kya?
Sehem sa gaya hoon ye jaan kar ke sab ek jaise hai,
Par tum alag ho, iss baat ka ehsaas mujhe dila paoge kya?
Main gir chuka hoon, phir se utha paoge kya?
Toot chuka hoon, pehle jaisa kar paoge kya?
Bikhar chuka hoon, samet paoge kya?
Jo vishwaas main kho chuka hoon,
Mera woh vishwaas ban paoge kya?
Jo pyaar main apne dil main kahi dafna chuka hoon,
Use phir se jaga paoge kya?
Mere har lafz ki, har shabd ki, har baat ki kadar kar paoge kya?
Nahi chahiye mujhe tumse mehnge gifts,
kuchh bhi nahi chahiye,
Par kya apne din aur raat de paoge kya?
Pagal sa hoon thoda...
kabhi kabhi badi badi galtiyon ko bhi maaf kar deta hoon,
To kabhi chhoti chhoti baton par bhi naraaz ho jata hoon.
Par tum ye chhoti badi chhodo, baat koi bhi ho.
Par mere roothne par mujhe humesha mana paoge kya?
Bolta to main bahut hoon,
Par sirf meri baaton ko hi nahi,
Meri khamoshi ko bhi utni ehmiyat de paoge kya?
Aksar sab kuchh keh jata hoon main,
To kabhi nahi keh pata un baaton ko jo dil me kahi reh jati hai.
Tum unn ankahi baaton ko,
Mere bina bole samajh paoge kya?
Main bass do-chaar kadam nahi chalna chahta tumhare sath,
Tum batao mere sath door tak chal paoge kya?
Mujhe yahan-wahan idhar-udhar tak ka safar tay nahi karna tumhare sath,
Tum mere sath aakhiri saans tak ka safar tay kar paoge kya?
Tum par aankhein band kar ke bharosa karunga main,
Tum bhi mera vishwaas kar pao ge kya?
Galtiyaan bahut karta hoon main,
Par tumhara dil nahi dukhaunga
Tum batao mere dil ka khayal rakh paoge kya?
Bass kuchh hi logon ko apni duniya maanta hoon main iss duniya mein, parivaar aur Mahadev.
Mere liye inka maan rakh paoge kya?
Chhoti chhoti baaton se main khush ho jata hoon,
Par chhoti chhoti baatein mujhe dard bhi deti hai.
Kuchh aisa hi hoon main, mera dhyaan rakh paoge kya?
Tum bass mujhse bahut-bhut pyaar karna,
Tumhari chhoti se chhoti khushi ka dhyaan main rakhunga.
Tum bass jhooth mat bolna aur bharosa mat todna,
Pakka wala vaada main tumhe seene se laga kar rakhunga
Mujhe tumse,
tumhare pyaar aur waqt k alaava kuchh bhi nahi chahiye.
Baaki tum bolna, main tumhe jaan bhi de dunga
Tumhe ye baat shayad jhooth lage ya ho sakta hai ajeeb lage,
Par sach kehra hoon tum bass mujhse wafa karna,
Main tumhe apna bhagwaan maan kar rakhunga.
Ab aajao bahut time se intezaar hai tumhara,
Or dekho chhod kar to sab jaate hai,
Par tum mujhe apne sath apne ghar lekar jaa paoge kya?
Or haan...!!
Mere saath aage tab badhna jab khudko is sawal ka haan mein javab de sako ki,
Main ye sab nibha paunga kya?
Itna kuchh keh chuka hoon, kaafi hai?
Ya aur samjhau kya?