Khair ab is Qaynaat me koi
aise lafz nahi bane,
Jo Qaynaat ka izhaar-e-mohabbat
kar paaye tumse...
Bas itna samajh jao,
Tumhe pata hai mai tumse pyaar karti hu,
Magar yeh nahi pata ki meri rooh tak sirf tera wajood basa hai...
Toh socho, tumhe pata bhi kya hai?
Meri mohabbat sirf jazbaat nahi,
ek qayamat hai,
Jo har dafa mujhe teri chaahat me doobne pe majboor karti hai...
Meri har saans tere bina adhoori hai,
Jaise kisi shayar ki ghazal bina akhri misray ke adhuri ho...
Agar Qaynaat ka har sitara likhne lage,
Toh bhi meri mohabbat ka kissa mukammal na ho,
Agar Qaynaat ki har lehre gungunaye,
Toh bhi sirf tera hi naam sunai de..
Aur agar Qaynaat ek dastaan hai,
Toh uska anjaam sirf
teri baaho me likha hai...
Mai Qaynaat hu.....
aur tu mere wajood ki wajah,
Tujhse hi roshni, tujhse hi saanse,
tujhse hi mai...