Zindagi aese hi guzar jaayegi
Waqt yunhi beet jaayega...
O mere aashiq... !!!
Ab kuch aese lagne lga,
Shayad hi kabhi meri yaad aaye tujhe...
Zindagi aese hi guzar jaayegi
Guzre waqt mai jab kbhi palatkat,
Nigaahein jo teri waaps aayegi...
Sacch kehti hoon tujhe,
Ussi shiddat se tera intzaar karte mujhe...
Jahan chhod rahi hain pyaar mein,
Wahin khada paayegi...
Zindagi aese hi guzar jaayegi
Tere saath zindagi jee hain maine,
Yaadon se teri jeevan ka har pal churaya hain maine...
Meri zindagi hain tu,
Kuch iss tarah mere dil mai bas gaya hain tu
Lage yun jeevan ka har pal sang tere jee lia maine...
Zindagi aese hi guzar jaayegi
Dur kahan jaaungi tujhse
Teri yaadein hi ab jeene ka sahara hain...
"Anchal" Ki nayi pehchaan
Nikli hoon khud ko yaadon mai khojne teri
Khud ko paa lia to jee lia nahi to,
Zindagi se haari hoon main...
Zindagi to aese hi guzar jaayegi...!!!
Chhupayein jo raaz dil mein, unhe alfazon mein rakhte hain,
Har ek khushi, har ek gham ko hum apne rang mein rakhte hain.
Duniya ki thokarein, rasta dikhane ke liye,
Hum apne sapne apni chaal mein rakhte hain.
Aaj ka safar yeh, hum milkar tay karenge,
Zindagi ke rang, har shabdh mein sajayenge.
Har ek kadam pe, ek nayi roshni milegi,
Humare beech ki baatein, sabko apni kahani banayenge.
Agar yeh safar acha lage, toh aur kahaniyan sunayein!@Anchal23